Hockey (हॉकी )
Hockey Bharat ka ek rastiy khel hai. Hockey a arambh ab se lagbhagh 4000 varsh pahle Eran me hui thi iske bad yh khel bhut se desho me khela gya lekin kisi bhi desh me koi achcha esthan prapt nahi hua phi bad me is khel ko Bharat laya gya aur Bharat me isko ucha esthan praptn hua aur phir yh khel Bharat ka reastiy khel ban gya Bharat meyh lagbagh 100 varsh pahle aya tha is khel me do team ek dusre ke virodh me khelti hai nis khel me ek team me 11 khiladi hote hai aur pretyek ke pass ek mniche se mudi ek chadi hoti hai jiske sahare se pertyek khiladi ek choti v kathor gaind ko dusri rteam ke goal me le jane ki kosis karta hai is hckey ko dusre nam medani hockey ke nam se bhi jana jata hai kyoki istrha ki hockey braf me bhi kheli jati hai jise ice hockey kha jata hai.
Bharat me hockey
ka khel bhit purana hai aur bhut priey hai, Bharat ne 1928 se 1956 tak hockey
me 6 golden madel liye. Humare desh Bharat 1928 me visv vijeta rh chukka hai. Olampic
khelo me Bharat ke hockey me bhut bada esthan rha hai. Hockey ka pehla
international match 26 june 1895 ko Rief me Wales aur Ireland ke beach hua. Hockey
ka pehla sangtith club 1861 me bnaya gya, hockey sirvoch sanstha (Fedration
Internationale Hockey) hai. Hockey ka pehla viesv cup 1971 me Barcilona me
khela gya. . Hockey ka pehla visv cup 1974 me hua.26 may 1928 me Bharat hockey
team ne pahle bar Olympic khelo me hissa liya. International hockey match 70 minute ke liye khela jata hai,yh khel 10
minute ka gaep karke 35-35 minujte khela jata hai. Hockey ke maidan ki lumbai
91.44 mtr aur chodai 50-55 mte hoti hai. Hockey ke gaind me 155_162gm wight
hota hai. Shilaru (himachal pardesh) me Bharat ka sabse ucha ”strotrf field” ruber ka maidan bnaya gya hai.
Yh khel bhut hi
achcha khel hai is khel ko dekhne me bhut hi anand ata hai usi wjha se sabhi
dersak is khel ko dekhna pasand lkarte hai, yh khel khiladiyo ki health ke liye
bhi bhut achcha hai. Yh khiladiyo ko vittey labh bhi prdan karta hai. Is khel
me ruchi rakhne wala ek vyakti asani se apna bhavisy bna sakta hai. Ise har din khelna swasthy ke
liye bhut achcha hai, yh khel achcha swathy pardan karne ke sath sudharna ke
sath sath sarir ki sehn sskti bhi badhata hai. Is khel ko khelne walo ko liye
hardin khel ka peryas karne ke avsyakta hai.
Hockey ek achcha khel hai aur jyada tar har desh me
desh ke yuvao dwara khela jata hai. Yh bharat
me tyo khela hi jata hai par yh khel visv ke anney desho me bhi khela jata hai.
Bharat is khel me kyi sal tak visv vijeta rh chukka hai, ab yh khel aur desho jaise:- Holand, Jarmani,
Pakistan, Australia, England me bhi kafi khela jata hai. Yh rafter (speed) ka
khel hai, jisme jab kabhi bhi khel rafter leta hai to khiladi ko har smay dodna
padta hai. Yh do teamo ke bich me khela jane wala khel hai.jin dono teamo me
11-11 khiladi hote hai. Khiladi ko tab tak har smay furti se rehna padta hai
tab ak ki khel khatam na ho jaye. Is khel me khiladio ko apni istithi ka dhyan
rakhna padta hai.
Bharat ke wo
khiladi jinhone hockey team me padak prapt kiye. Nayak dhyanchand, Ajeet pal
singh, Dhanraj pille, Ashok kumar, Udham singh, Babu nimal, Balveer singh
senior, Mohammad sahid, Gagan ajeet singh, Lassi clodeas adi the. Ye sabhi asli me senior the jo bhartiey hockey
ko achchi saflta ki aur le gye the, jinhe abhi bhi hockey ke jadugar ke roop me
bulaya jata hai. Bharat pahli bar Roam Olympic me hare the bad me Metirial hockey me Bharat ko satva
esthan prapt hua.
0 comments:
Post a Comment