***RAJNITI*** राजनीति
Rajniti samaj ke sangthit jivan ka sarva dhik kriyaklap hai. samanyata yadi hum yh btane ki kosis kare ki samgreta ke estar par dekhe to samajik ya rajnitik chintan ke bina jivan kathin hai to chootte hi uttar milega ki nahi,app galat hai.
Log apne arthik tatha kiryaklap me jaise vyavhar karte hai vaisa kyu aur kaisa vyavhar karte hai? Iske vyavasthit adhyan karna avasyak hai, Rajniti ka adhyan yahi karne ki kosis karta hai,aur rajnitik vyavhar lagbhag poorn roop se arthik tatha samajik vyavhar se jooda hua hai aur udhar arthik tatha samajik vyavharrajnitik vyavhar se.
In dino yova log bahut garv ki bhavna se gosit karte dekhe jate hai ki ‘Rajniti me meri koi dilchaspi nahi.Unki drasti me rajniti vyangit tatha dallgatt labho ke liye raj-satta me isthan prapt karne ki jod-tod ki adham kalla hai. Apne karykari jivan me bhi unhe ‘Rajnitik kehlane ki koi chal nahi hoti. Darsal yh sabd dheree-dheree ek gali ban gya hai.
Prantu jha tak rajnit ki avdharna ka sambandh hai, up yuva dharna nitant agyan aur nirthirakta se bhari hui hai. Vastut: hum sabhi rajnitigy hai. Hum jo kuch bhi kahte hai ya karte hai usme ek istithi apna rahe hote hai. Hume pasand ho ya na ho, vha istithi rajnitik hi hai. Rajintik ka sambandh jivan ki har bat se hai. Hume kya saiksha leni chahiye aur leni hai ya nahi leni hai, hume kon-sa kam milega aur milega ya nahi milega, hume apne karcho ki bharpai karne aur apna tatha apmne parivar ka jivan chalane ke liye kitne paise ki jarrorat hogi, hum kitna paisa kma sakte hai ya hume kita paisa kmana chahiye aur usme se mujhe kitne ki jarrorat hai aur kitne rajjiyo ko karo ke roop me dena chahiye ye sabhi person rajnitik person hai.
Kya humari siksha aur jivan ki tayari vaise hi hone chahiye jaise hare k ki hai ya humare alawa kuch anay logo ko humse jyada hum se kum avsar hone chahiye? Jise hum apni niji sampatti kahte hai vha ekant roop se humari hai ya honi chahiye vha ananth: pure samaj ki aur rastr ki hai ya honi chahiye ya apni sampatti ka apni marji ke mutabik chahe jo karne ka hume adhikar ho sakta hai ya hona, ye sab bhi rajnitik person hai. Dusre sabdo me, kisi ki vyangit ya samohik swatantrta ,dusre ke sandarbh me samanta, nayay, adhikar aur kartavy ye sab rajnitik chetr ke hisse hai.
Hum kisi’avantar bhoomi me ya kisi samhu ke bich me athva bahari antrikch samhu me nahi rhe hai. Hum humesa kisi rajiy ke chetradhikarme ya uske adhin rahte hai. Us rajiy ke apne kannon, niyam hai, nitiya hai, aur ve uske roojhan ke anusar hai. Isliye jab huim yh rukh apnate hai aur vastoot bahut-se log aisa rukh apnate bhi hai ki hume to kewal is khelo ke niyemo ka palan karna hai aur apna jevan jine ki kosis kar rhe hai to yh bhi ek rajnitik rukh hi hai, kyoki iska matlab sirf yh hai ki humne apne achran (anjane me hi sahi) se ythaisthiti ko, vh caheh jaise bhi hai, swikar kar liya hai.
Yadi hum dusroo ke mukable samaj me adhik suvidhajanak isthiti me hai to hume us sode ko (sayad kushi-kushi) manjoor kar liya hai aur rajniti ka ispars isliye nahi karna chahte hai ki humara to sabkuch thik-thak hi chal rha hai. Yadi hum suvidhajanak isthiti me nahi hai ya humara sosan ho rha hai athva humara sab kharab vyavhar ho rha hai to bhi yahi mana jayega ki apni isthiti me sudhar karne ke koi pryatan kiye bina, humne, wh jaisa bhi hai, swikar kar liya hai. Isliye jab hum yh kh sakte hai ki hum rajniti se door hi rehna chahte hai aur uske sambandh me kuch nahi karna chahte tab b hi vastoot hum aise rajnitik vyvastha ke huk me hai.
Agar hum kuch karne ka nirny karte hai tab to kisi-n-kisi roop me rajniti me hi. Yadi kuch nahi karte tab bhi hum rajniti me hi hai. Yadi kuch nahi karte tab bhi hum rajniti me hi hai kyoki tab hum ythaisthitiko uski apni mojuda sakal me kayam rahne me is karan se madad kar rhe hai ki hume use swikar kar rhe hai aur uske adhin apna kary-vyapar chala rhe hai. To saf khe to hum jo kuch-bhi karte hai ya nahi karte hai wh kisi-n-kisi roop me rajniti hai, chahe use hum pasand kre ya na kre. Is halat me rajnitik ke bare me vyavasthit riti se sochna aur mann karna kya bahtar nahi hoga? Arambh karne ka yh tarika kaisa rahega ki hum is bat par gor kare ki manav-jati ati
Prachinkal se ab tak rajniti par
avdharanatmak drasti se kis pirkar sochti rahti hai? Tab ho sakta hai ki hum
khud tiy kar paye ki humare vichar me rajniti kya hai ya jyada sahi khe to
humario rajniti kya hai ya honi chahiye. Manav-chintan ne vikas ka jo rasta
apnaya wh mookhiy roop se itihaas ke dwara nirdharit kiya gya. Sambandhit kalo
ki rajnitik sanrachnao ne bahoodha rajnitik darsan me kuch khas-khas
chintan-dharao ko badhava diya hai. Samaniyta
rajniti ka sambandh rajiy aur sarakr se
rha hai aur usme sansad, karyapalika, niyaypalika, nokarsahi addi opcharik rajnitik sansthao ke adhyan ka smaves rha hai.
Is pirkar rajnitik sasan tatha boniyadi rajnitik sambandho rajiy aur
vyavasthata ki bich ke sambandho aur rajiyo ke bich ke sambandho ka vigyan aur
kla hai.
BHARAT KI RAJNITI:-
Bharat ki Rajniti apne samvidhan ke dhache me kam karti hai,kyoki bharat ek sanghiey sansadiey,loktantrik gantantr hai, Jha par Rasstrpati desh ka permokh hota hai aur Pardhan mantri sarkar ka parmokh hota hai.Bharat ek deurajtantriey ka anusrn karta hai, Arthat, kendr me ek kendrey satta wali sarkar aur paridhi me rajiey sarkare.
Samvidhan me
vidhan mandal ke diusadniyta ka pravdhan hai,jis me ek upri sadan jo bhartiya
sangh ke rajiey thakendr-sasit pardesh ka pirtinidhietv karta hai,aur nichla
sadan (Lok sabha) jo bhartiye janta ka pirtinidhitev karta hai.
Sasan evam
satta sarkar ke hath me hoti hai. Saiyokt vedhanik bagdoor sarkar avam sansad
ke dono sadno,lok sabha tatha rajiey sabha dono ke hath me hoti hai. neyay
mandal saaskiey avam vedhanik, dono se swatantr hota hai.
Samvidhan ke
anusar, Bharat ka ek pardhan, samajvadi, dharam-nirpekch, loktantireyrajiey
hai, jha par sarkar janta ke dwara chuni jati hai. "America" ki
terah, Bharat me bhi saiyokt sarkar hoti hai, lekin bharat me kendr sarkar
rajiey sarkaro ki tulna me adhik saktisalli hai, jo ki "Bretain" ki
sansadiey pernali par adharit hai. bahumat ki istithi me ne hone par sarkar na
bna pane ke dsa me athva vises samvedhanik paristhitike antargat, kendr sarkar
rajeya sarkar ko niskasit kar deti hai aur sidhe saiyokt sasan lagu kar sakti
hai, jise Rasstrpati Sasan kha jata hai.
0 comments:
Post a Comment