Success life rule

Success banne ke liye in bato ka gyan hona jarrori hai

Success banne ke liye in bato ka gyan hona jarrori hai (सक्सेस बनने के लिए इन बातो का ज्ञान होना आवश्यक है)

agar app life me success hona chahte hai ya kuch karna chahte ho to app ye kuch bate hames dhyan rakhne chahiye,  ki zindgi kisi ko bhi aise hi nahi milte aur agar isi liye kha jata hai ki zindgi ki koi keemat  nahi hoti, zindgi ka matlab ye nahi hota ki hum zindgi ka matlab ye nahi hota ki hum subha uthe pure din kam kre kare aur raat ko phir so jaye. Zindgi ka matlab yh hai ki apne liye to sabhi karte hai,asli zindgi ka matlab ye hota hai ke liye kuch de jana. Hum hyumesa ye hi sochta rahte hai ki huym khud ke liye aur sab ke liye kuch kar jae par hume aisa karna ke liye bhut mehnat karni padegi, bhut sara kathin kam (Hard work) karna padega.
Ajj me apko life me success hone ke kuch tarike bta rha hu jisse hum kamiyab ho sakte hai, agar mere dwara btaye hui tips apko pasand aye to app un ka follow karna.  Zindgi me kewal yh hi sochte rahte hai ki  mai agar aisa karunga to mai uske jaisa ho jaunga aur agar aisa karunga to us ke jaisa ho jaunga par hum karte kuch nahi hai aur apna time waist karte rahte hai, hum sabhi ko dekhte hue yh sochte rahte hai ki kas mai uske jaisa hota ya phir uske jaisa hota to aisa hota ya aisa hota .
Agar apko apni life me kuch karna hai to app ko yh sab chodkar mehnat karni hogi kyoki mehnat ek aise chig hai jo kabhi barbad nahi jati.
App sabhi ne dekha hoga ki aj tak koi bina mehnat kiye kamyab nahi bna to app phir kaise ban jayenge, to sabse pahle app apne dimag se bhram nikal dijiye ki app bina mehnat ke kamiyab ho jayenge app ko kamiyab hone ke liye mehnat to jarror hi karni hogi. app ko humesa har kam ke liye taiyar rehna hoga, agar app aise nahi rahoge to app ane wale time me bhut piche rh jaoge jise app phir kabhi bhi cover nahi kar paoge.
1.     Jo time piche chla gya usko bhul jao:-Jo bhi humare jivan me pahle ho chuka hai humko wh yaad nahi rakhna chahiye, kyoki wo time nikal chuka hai aur hum sochkar bhi us time ko nahi badal sakte. Lekin ane wale time ko achcha bnaya ja sakta hai agar app mehnat karoge to, future bnana humare hath me hai. Hume khali nahi bethna chahiye kuch na kuch karte rehna chahiye.


2. Time ke value samjhni chahiye:-
Hume ane wale time ki value samjhni chahiye, kyoki agar ek bar ye time nikal gya to phir kabhi bhi lot kar nahi ayega. Kyoki agar hum aisa nahi karenge to iska sidha sa matlab hai ki hum apna future success nahi karna chahte. Is liye hume apne time ke value samjhne chahiye. Agar app duniya ke time se pahle nahi chal sakte to kam se kam duniya ki sath to chaliye.

3. Jo bhi kam karna chahte ho use mehnat,emandari aur lagan se karo:-
hume jo bhi kam kar rhe hai chahe vo kuch bhi kam ho hume wh kam puri mehnat,emandari aur lagan ke sath karna chahiye aisa karne se hum kabhi bhi kisi bhi kam me kabhi piche nahi rahenge. Aur app jab bhi koi kam karo to ye soch kar karna chahiye ki yh mere liye last time hai agar mai is ko sahi tarike se nahi kar paya to apna future barbad kar lunga.

4.  Sabhi kam ke liye pahle se taiyar:-
Hume humesa har kam ke liye taiyar hona chahiye chahe wo kam asan ho ya kathin. Kykoi agar hum kisi bhi kam ko karne ke liye humesa taiyar rahenge to kiabhi kabhi bhi kisi se piche nahi honge. Agar hum aise tayar nahi rahenge  to hume aise pachtana padega jaise ki jab hmara koi kam galat ho jata hai to hum bad me pachtate hai aise hi dobara pachtana padega isse achcha hai ki hum har kam ke liye humesa taiyar rhe.

5. Galti hone par pachtava nahi karna chahiye balki sudhar karna chahiye:-
 Agar humse kabhi bhi koi galti ho jati hai to hume us bat ko lekar nahi bethna chahiye balki ye    sochna chahiye ki humse yh galti kaise hui yh galti age next time kabhi bhi nahi honi chahiye. Agar hum yahi  soche kar baithe rahenge ki wh kyu ho gya to hum kerwal zindgi me nuksan hi payenge.isliye purani bato ko bholo aur ane wale next time me aise kam  karo ki wh galti dobara na ho.

6.  kabhi bhi kisi kam se har nahi manni chahiye:-
Hum ko kabhi bhi kisi kam se har nahi manni chahiye agar hum kisi bhi kam se har man lenge to hum us kam ko apni puri zindgi me kabhi nahi kar payenge,  hum ko kabhi bhi kisi kam har na mankar us kam ko karne ki kosis karte rehna chahiye. Agar upar wala baghwan kisi kam ko karne ka rasta bnd karta hai to dusre raste pahle se hi khol deta hai. Hume us kam ko karne ke liye aur raste khojne chahiye.

 7.  kabhi bhi koi kam kal ke liye nahi chodna chahiye:-
Hume kabhi  bhi koi kam kal ke liye nahi chodna chahiye kyoki kal kabhi bhi nahi ati. Har kam ko sath ke sath turant hi karna chahiye aisa karne se hume apne jevan me bhut labh prapt hoga aur hum humesa har kam ke liye taiyar rahenge. Agar hum kabhi bhi aisa karte hai to humare life to unsuccess hogi hi balki hume sab bekar ki najro se bhi dekhenge aur bekar kahenge.

8. Jaldbazi me hume kabhi bhi koi kam nahi karna chahiye:-
Hume kabhi bhi koi kam jaldbazi me nahi karna chahiye kyoki jaldbazi me kiye gya kam jyadatar galat hi hota hai, jaldbazi me kiya gya kam bhut kam hi sahi hota hai. Kam ko kam ki trha kre kisi bhi kam ko majak na samjhe kisi bhi kam ko karne se pahle us kam ke bare me puri jankari prapt kar leni chahiye.tabhi humara kam hyumesa sahi hoga aur humari life success ho jayegi.

9.  Hume kabhi bhi apne ko akela nahi samjhna chahiye:-
Hum aise pahle vyakti nahi hai ki hum akele hai , jane kitne success life vyaktiyo ne akele hi rehkar sabhi kam kiye hai, agar kabhi hum akele rh bhi jate hai to hume kabhi bhi kisi kam se gabhrana nahi chahiye balki us kam ka datkar mukabla karna chahiye, kyoki success whi ha jo kisi kam ko last tak le jaye aur pura kre.

10.  Kisi ko ignore nahi kro:-
Hume kabhi bhi kisi ko ignore nahi karna chahiye, kyoki duniya me koi bhi aisa nahi hai  jisse hum bat kre aur hume usse koi sikcha prapt na ho is liye hume kabhi bhi kisi ko ignore nahi karna chahiye. Agar app kisi ko kabhi bhi ignore nahi karoge to ho sakta hai kabhi na kabhi apko kuch aise bato ke bare me jankri ho jae jo ki apki life me apko success bna ske.


About Unknown

0 comments:

Powered by Blogger.
class="lang:php decode:1 ">