Satranj Bharat ka ek purana khel hai. Jo ki kafi chunotiyo se bhra hua hai, yh ek aisa khel hai jise har koi nahi khel sakta, isko khelne ke liye bhut dimag chahiye, yh koi halka khel nahi hai,yh khel sab khelo se uper hai chahe is khel me sarrir ki takat ka paryog na hota hai.
Is khel
ke liye khiladi ke tez dimag ke sath uski ekagrta ki bhi jarrurat padti
hai,kyoki uska dhyan dusri alag hote hi uske sabhi khiladi eke k kar ke mar
jate hai. Yh khel duniya ka sabse purana
jyada dimag lgane wala khel bhi hai. Ab is smay to dimag lga kar baith kar
khelne wale kai khel hai lekin yh aisa sabse purana khel hai.
Raja,Rani,Ghode,Hathi,Piyade….ye
sabhi chale satranj khel me hoti hai.yh khel apni taraf ke raja ko bachane aur
dusri taraf ke raja ko hrane ke liye khela jata hai. Vo bhi chall chalke, Itna
assan nahi hai ye sab, Satranj ka khel ka khel jaisa sunne me lagta hai vaisa
hai nahi yh khel bhut hi dimag ke sath khela jata hai ye.
Kya app
sabhi jante ho ki yh khel pahle bar kab khela gya aur kiske dwara khela gya, yh
khel” Rawan” ke bête “Mehghnath” ki patni “Salochna” ne khela aur is khel ko
bnane wali “Rawan” ki patni “Mandodri” thi. Is khel ka pehla nam “Chaturang”
tha.
Yh ek
aisa khel hai jisme log apna pua dimag lagakar bhi us ki chaturai ke samne nahi
tik pate, besak usme sarir ki takat ka upyog na hota ho par wh jab bhi bhut
kathin hai.
Yh khel
9vi sadi tak paschmi yurop aur ros tak chla gya. Aur sall 1000 khatam hone tak khel puri trhe
se yurop me fail chukka tha.
Iske bad
10vi satabdi tak paninsulla ke prantoo me bhi punch chka tha aur is khel ka nam
13vi satabdi me “Chatrung” se badalkar “Satranj” rakha gya. Aur iske niyam bhi
kafi had tak badl diye gye. Yh khel jha jha bhi gya wka ke logo ne iske nam to
badle hi balki iske khelne ke niyam bhi badl diye.
0 comments:
Post a Comment